Sunday 2 June 2013

Islamic history of Firon




Firon ne jab khudai ka dawa kia, aur zulm shuru kiye tu Moosa A.S ne apne Qoum se farmaya tum log esy apne marzi pe chorh do... apne Aamal ko teek karo aur tum log jis maqsad k liye aaye ho osy pora karo... Firon ko Allah khud he ebratnaak saza dega... aur wo saza aaj b aap dek sakte ho is tasveer mai Allah ne farmaya tha k esy mai Qayamat tak is dunia mai zaleel karunga aur aaj hum dhek rahai egypt mai parha hai zaleel insan...

so mere kehne ka maqsad ye hai k hum log agar is Mulk k ya kisi b Mulk k hukumrano ko galiyan dain ya gandy gandny alfaaz use karain is se kuch farq nahe parhega... is se farq ye parhega k hum log khud ko gunahgar kardainge aur apne emaan ko tabah kar k rakh dainge... farq tab parhega jab hum log apne aamal ko teek kary aur jis maqsad k liye is duniya mai aaye hain osey pora kary... warna marne tak hum zaleel rahainge aur din ba din zalim hukumran aathy rahainge...

Sach baat tu ye hai k hum (Pakistanio/Musalmano) k aamal etne bory aur kamzor hai k hum buhut barhy azaab k laiq hai ye zardari ye mehngayi ye ajeeb ajeeb bimariyan tu kuch b nahe... hamary aamal Bani Isra'il se milty julte hain... aur Huzur (SAWW) ne farmaya tha k mere ummat k aamal aik waqt mai Bani Isra'il se milty julte honge... aur example ye diya tha jese Paon (foot) aur jootu ka rishta... hamara maqsad Deen-e-Islam hai.. siyasat nahe TV channels, Hukumrano etc ne Awaam ko ghalat raate pe rawan kia hai... jo hukumran Allah aur Rasool (SAWW) ki baat na kary samjo k os se barha shaitan koi nahe...

Aur sabse ahm baat ye k Pakistan k sabse barhy dushman Pakistani siyasat daan hai, ye sab America/Ghairmuslimo k kehne pe is mulk mai hukumrani karrahai hai.... Pakistan mai koi aik b aesa siyasatdaan nahe jo is Mulk ka wafadar ho... sab ne siyasat ko business banaya howa hai... and politics is good business in Pakistan for Income... in logo ne Awaam ko aik side pe rakha hai aur hamesha kuttu ki tarah channels pe larhte rehte hain... in k 2 2 chehre hothy hain... koi kehta hai k Allahoakbar k zamana chala giya koi quran ko sar pe rakhta hai koi Huzur SAWW k shaan mai gustakhiyan karraha hai... ye qayamat ki nishaniyan hain...

Ye Ummat aaj zaleel aur kamzor q hai you know? is Ummat ne wo kaam chorh diya hai jo in ka maqsad tha... aur wo maqsad ye hai k logo ko bory kamo se mana karo aur achy kaamo ki taraf bolao... aaj hum logo ko achy kaamo se nikaal k bory kaamo ki taraf kenchrahai hain... is duniya ki zindagi aarzi zindagi hai kisi b waqt hum is duniya se ja sakte hain... ye duniya examination hall hai apne papers ko teek tarah se hal karo warna fail hojayenge hum... Peace 

No comments: